Begangi-e-Dil
Tanhai Mein Faryaad To Kar Sakta Hoon Veerane Ko Abaad To Kar Sakta Hoon Jab Chaahu'n Tumhein Mil Nahi Sakta Laikin Jab Chaahu'n Tumhein Yaad To Kar Sakta Hoon Meine Masoom Baharoon Mein Tumhein Dekha Hai Meine Pur Noor Sitaroon Mein Tumhein Dekha Hai Achi Surat Ko Savarne Ki Zarurat Kya Hai Sadgi Mein Bhi To Qayamat Ki Ada Hoti Hai Tum Jo Aa'jate Ho Masjid Mein Ada Karne Namaz Tumko Maloom Hai Kitno Ki Qazaa Hoti Hai Begangi-e-Dil Ke Afsane Ko Kya Kehiye Apna Na Hua Apna Begane Ko Kya Kehiye Jab Dono Hi Roshan Hain Ek Teri Tajalli Se Phir Kaba To Kaba Hai But-Khane Ko Kya Kehiye Un Mast Nigahoon Ki Taseer Mahaz-Allah Gardish Mein Zamana Hai, Paimane Ko Kya Kehiye Aate Hain Satane Ko Jaate Hain Rulane Ko Iss Aa'ne Ko Kya Kehiye Iss Jaa'ne Ko Kya Kehiye Ro Ro Ke Mera Be-Dam Daman Se Lipat Jana Aur Unka Yeh Farmana Deewane Ko Kya Kehiye Begangi-e-Dil Ke Afsane Ko Kya Kehiye Apna Na Hua Apna Begane Ko Kya Kehiye Year: 1988 ...